Friday, December 26, 2008

Aa bhi jao

Aa bhi jaao ki ab Lab ho chuke hain pyaase
Aa bhi jao ki ab Nigahen bhi ho chali hain pyaasi
Is tan badan main bhari hai ek udaasi
Tumhare intezaar main din ban chukain hain barson
Thode se Aur lamhon ki zindagi ko de rahein hain duhaii
Aa bhi jaao ki ab ban chuke ho tum humari zaroorat
Ho chale hain tumhare bin adhoore, khud se hi kar rahein hai bewafaai…
1 nov 07

Sunday, October 26, 2008

Some lines here and there...

Madhoshi ke is alam main,thoda sa aur jaam pine de
Raat ki is khamoshi main, saaki , thoda aur doob jane
Andhere main hi hota hai woh mere paas.
Subah dhalne tak thoda aur jee lene de .

……………………………………………………………………………..

Kuch baatein adhoori , Kuch kaahaniyan adhoori,
Kuch lamhe adhoore, Kuch mulaqatein adhoori
Thode se din adhoore, Thodi si raatein adhoore.
Thode se Hum adoore, Thode se tum adhoore

………………………………………………………………………….

Aa dil, ab phir se nayee rah par chaltein hain
Apni ek nayee roshni, nayi manzil dhoonte hain
Ab phir se ek naya humsafar , ek basera dhoondte hain

Mukammil..

Mukammil…
Ek baar phir hum aapne aap se mukamil ho jaayen
Is Raat ke andhere main khud ko ek baar phir paa jaayein
Ek muddat baad tumhari bahoon ne humko chuha hai
Tumhari saanso main khud ki saanso ko milate jaayein

Is Aag main thoda tum jalo, thoda hum jalen
Is Tapish main aaj dono pighalte hi jaayen
Raakh ban jaaye ya ban ke nikle sona
Aaj ek baar phir khud se mukammil ho jaayen…

Copyright@Ekta